Umang:app se uan login number activate kaise kare

 Ab Umang app se uan login number active kar sakte hai.Umang:app se uan login number activate kaise kare

Namskar dosto kaise ho aap sabhi?

Aaj mai aap logon ko umang app se UAN number activet karna sikhayenge,

Chaliye step by step samjhte hai.

uan login-kaise

1)Sabse pahle aap playstore me jakar Umang app likhkar search karna hai aur use apne mobile me install karna hai.

2)ab Umang app me login karna hai apne mobile number dal kar uske baad aapke samne kuchh esparkar ka page open hoga.


3)aapko EPFO wale options dikhai dega uspe click karna hai.



4)ab aapke samne EPFO ka page dikhega aur uspe click karke aap neeche aapko dikhai dega, UAN activation likha dikhega aur arrow wale per click karna hai.


4)ab aap ko apni details bharni hai jaise aap uper dekh sakte hai.kya kya bharna hai mai aapko step by step batata hu ki kaise kaha kya bharna hai.
>>Sabse pahle aap apna UAN number dalna hai jo aapke company ne diya hoga.yad rahe UAN number sirf 12 numbers ka hoga.

>>Aap apna UAN number fill up karke aap aage wale box me apna unique name fill kare.jo aapke Aadhar card me hoga vahi name dale.

>>Aage wale box me apni date of birth dale jo     aapke Aadhar card me hoga vahi date of birth   dale.

>>Aage wale box me apni personal mobile number dale jo aapke Aadhar ya UAN number je juda hoga Wahi number dalna hai.

>>Aage wale box me apni email id dalni hai.email id agar dalenge to aur acchhi bat hai.agar e-mail id nahi hai to naya email id bana le.
Email id dalne ke bad neeche dikh raha hai get otp uspe click karna hai aur aapke Mobile number par otp aayega usko aap neeche wale box me jaha likha hai enter otp wale box me dalna hai.

5)otp dalne ke bad aap neeche chhotewale box ko bharna hai jaise arrow ke sath me dikh raha hai.
Sabse neeche aapko submit wala box dikh raha hai usper click karke aap puri process ko follow karke aap apna UAN number activet kar sakte hai.

Sabhi process ko follow karne ke bad aapke Mobile number par sms ke dwara aapaka UAN login ka password ke sath me massage milega jisse aap apni epf ki aati jankari apne mobile se ke sakte hai.
Aaha karta hu ki mera article aapke kam aayega.epf se aur jankari ke liye hamare blog per comments ke jariye hame jarur batana.

                      ( Thanks for reading my article)





एक टिप्पणी भेजें

3 टिप्पणियाँ